Taiba ke jaane wale, Jakar bade adab se
Mera bhi aissa e gam, Kehna shah e arab se
Taiba Ke Jane Wale
Taiba Ke Jaane Wale
Kehna kay shah e aali, ik ranj o gham ka mara
Dono jahan mein iska, hai app hi sahara
Haalat e pur alam se, har dam guzar raha hai
Aur kanpte labon se, faryaad kar raha hai
Baare gunah apna, hai dosh per uthaye
Koi nahin hai aisa, jo puchanay ko aaye
Bhatka hua musafar manzil ko dhundta hai
Tarikiyoon mein mah e kamil ko dhundta hai
Sene mein hai andhera, dil hai siyah khana
Yeh sab meri haqeeqat sarkar ko sunana.
Kehna meray Nabi say, mehroom hoon khushi se sar per ik abr e gham hai ashkoon say aankh naam hai,
pamale zindagi hu, sarkar ummati hun
Ummat ke rehnuma ho, kuch arz e hal sunlo, faryaad ker raha houn, Mein dil figar kab say
mera bhi kisa e gham kehna shahe arab se.
TAIBA KE JANE WALE , JA KAR BADE....
Kehna ke kha raha hun, m thokarein jahan mein
Tum hi batao aaqa, jaoon bhala kahan main
Mehsoos ker raha hun, duniya hai ek dhoka
Matlab ke yaar hai sab, koi nahin kisi ka
Kis ko mein apna janoon, kis ka me lun sahara
Mujko to mere aaqa hai aap ka sahara
Tum hi suno ge meri, tum hi karam karo gay
Dono jahan mein tumhi, mera bharam rakho ge
Tum daad kha e alam, mein ik naseeb e barham
Tum be kasoun ke wali, main be nawa sawali
Tum aasiyon ka yaara, mein gardishoon ka mara
Rehmat ho tum sarapa, main murtakib khata ka
Hun sharam sar apnay, aamal kay sabab se
Mera bhi kisa e gham, Kehna shah e arab se
TAIBA KE JANE WALE, JA KAR BADE....
Aie aazam e madina, jaa kar Nabi say kehna
Soz e gham e alam say, aab jal raha hai seena
Kehna ke dil mein lakhoon armaan bhare hue hain
Kehna ke hasratoon kay nashtar chubhe huey hein
Hai arzoo yeh dil ki, main bhi madine jaun
Sultan e dojahan ko, sab dagh e dil dikhoon
Katun hazar chakkar, taiba ki har gali ke
Yun hee guzar dun mein, ayyam zindagi ke
Phoolon pe jaan nisarun, katon pe dil ko warun
Zarron ko dun salami, dar ki karun ghulami
Deewar o dar ko chumoon, qadmon pe sar ko rakh dun
Mehboob se lipat kar, rota rahoun barabar
Aalam ke dil mein hai yeh, hasrat najanay kab se
Mera bhi kisa e gham, kehna shah e arab se
Taiba kay janay walay, Jakar baray
aadab se
Mera bhi kisa e gham, Kehna shah e arab se
0 Comments
Text us, we will reply soon.
Team Alpha