Zikr e Khuda me har dam rehna
Sabke bas ki baat nahi
Khwahish e Nafs se bachte rehna
Sabke bas ki baat nahi
As'hab e Nabi to sab ke sab
Makhlooq me sab se afzal hai
Siddiq ke jaisa ashiq hona
Sab ke bas ki baat nahi
Ungli se ishara chand ki janib
Saare insaa karte hain
Ungli se chand ke tukde karna
Sab ke bas ki baat nahi
Dushman se badla lene kaa
Har ek ke dil me jazba hai
Dushman ko gale se apne lagana
Sab ke bas ki baat nahi
Deen ke khatir ghar ghar jana
Taif jakar pathar khana
Phir bi Duaen dete rehna
Sab ke baski baat nahi
Duniya talashi duniya bhar me
Gasht lagate phirte hain
Farooq ke jaisa Gasht lagana
Sab ke baski bath nahi
Usman ke jaisa Hamdard hona
Maal me beshak mumkin hai
Zinnorain ka rutba paana
Sab ke bas ki baat nahi
Kufr ki aisi zulmat me
imaan ka bachana hai mushkil
Muslim bankar Hindu me rehna
Sab ke bas ki bath nahi
0 Comments
Text us, we will reply soon.
Team Alpha