Subscribe Us

Hamne ankhon se dekha nahi lyrics

 

ham ne aankho.n se dekha nahin hai magar un ki tasweer seene me.n maujood hai jis ne laa kar kalaam-e-ilaahi diya wo muhammad madine me.n maujood hai

ham ne aankho.n se dekha nahin hai magar un ka jalwa to seene me.n maujood hai jis ne laa kar kalaam-e-ilaahi diya wo muhammad madine me.n maujood hai

phool khilte hai.n padh padh ke salle-'ala jhoom kar keh rahi hai ye baad-e-saba aisi Khushboo chaman ke gulo.n me.n kahaa.n jo nabi ke paseene me.n maujood hai

ham ne maana ki jannat bahut hai hasee.n chho.D kar ham madina na jaae.n kahi.n yu.n to jannat me.n sab hai madina nahi.n aur jannat madine me.n maujood hai

chona tera tayba gawaara nahi.n
saari duniya me.n aisa nazaara nahi.n

Post a Comment

0 Comments