Mere aaqa madiny bula lijiye
Mere aaqa madiny bula lijiye
Sahara chahiye sarkar zindagi k liye...
Tadap raha hoon madine ki haazri k liye..
Tayaba k jaane wale..Jaa kr bade adab se..
Mera bhi qissa e gham kehna shah-E-arab se..
Kehna k shah-e-aalam..Ek ranjo ghum ka mara..
Dono jahan mein jis ka hai aap hi sahara..
Haalat-e-pur alam se is dam guzar raha hai
Or kampte labon se faryaad kr raha hai..
Paaye gunaah apna hai dosh par uthaye..
Koi nahi hai aesa jo pochne ko aaye..2
Bhula howa musafir manzil ko dhundta hai..
Taarikiyoo me maah-e-kamil ko dhundta hai..
Seene mein hai andhera..Dil hai shiyaah khana..
Ye hai meri kahani sarkaar ko sunana..
Kehna mere nabi se maheroom hu khushi se..
Kehna mere nabi se maheroom hu khushi se..
Sar par ek abr-e-gam hai.. ashkon se aankh nam hai...
Paamal-e-zindgi hooun sarkar umati hun..
Ummat k rehnumao kuch arz-e-haal sun lo..
faryaad kr raha ho..main dil figar kb se..
Mera bhi qissa-e-gam kehna shahe arab se.
Hazoor aisa koi intezamm ho jaye..
Salam k liye hazir gulaam ho jaye..
Sahara chahye sarkar zindgi k liye..
tadap raha hu madine ki hazri k liye..
Mera dil tarap raha mera jal raha hai seena..
K dawa wahi milegi mujhe le chalo madina
Nahi maal-o-zar to kya hai..Main greeb hoo yahi na..
Mere ishq mujh ko le chal..Tuhi janb-e-madina..
Aaqa na toot jaye ye dil ka aabghina....
Ab k baras bhi muala reh jaon main kahin na..
Dil ro raha hai jin ka.. aanso chalak rahe hain..
Un aashqo ka sadqa.. bolwaiye madinaaaaa
Mere aaaqa madiny bula lijiye........
Madiny jaaon, phir aaon, dobara phir jaaon..
Ye zinagi meri yonhi tamam ho jaye.....
Sahara chahye sarkar zindagi k liye..
Tadap raha hoo madiny ki haazri k liye..
Ae aazm-e-madina.. ja kr nabi se kehna...
Soze gam e alam se.. ab jal raha hai seena..
Kehna k badh rahi, ab dil ki iztrabi..
Qadmo se door hoo mai, qismat ki hai khrabi...
Kehna k dil me mere arman bhare howe hain
Kehna k hasrtoon k nashtar chubhe howe hain
Hai aarzo ye dil ki main bhi madina jaao..
Sultan-e-do jahan ko..Daage jigar dikhao..
Kaatu hazar chakar, taiba ki har gali k..
Yonhi guzaar do aayam zindgi k..
Phoolon pe jaan nisarun.. kanton pe dil ko waarun..
Zarron ko doon salami.. dar ki karun ghulami..
Dewaro dar ko chumu.. chokhat pe sar ko rakh doon..
Roze ko dekh kr main, rota raho brabar..
Aalam k dil mein hai ye, hasrat najaany kab se...
hum sab k hai dil mein hasrat najane kab se..
Mera bhi qissa e gam kehna shah-e-arab se...
Sahara chahaye sarkar zindgi k liye..
Tadap raha hun madine ki haazri k liye..
Ek roz ho ga jaana.. sarkar ki gali mein..
Ho ga wahi thikana.. sarkar ki gali mein..
Dil mein nabi ki yaaden, lab par nabi ki naaten..
Jana to aese jana, sarkar ki gali me..
Ya mustafa khudara.. do izn haazri ka..
Kr lo nazara aakr.. main ap ki gali ka..
Ek baar to dikha do ramzan mein madina
Iss bar to dikha do ramzan mein madina
Aaqqa humen dikha do ramzan me madina
Beshak bana lo aaqa mehman do ghari ka
Naseeb walo mein mera bhi naam ho jae..
Jo zindgi ki madine me shaam ho jae..
Shahra chahiye sarkar zindgi k liye
Tadap raha hun madiny ki haazri k liye
Bula lo na........ bula lo na...........
0 Comments
Text us, we will reply soon.
Team Alpha