![]() |
HAMARE KUCH GUNAHO KI SAZA BHI SATH CHALTI HAI
HAM AB TANHA NAHI CHALTE DAWA BHI SATH CHALTI HAI
ABHI ZINDA HAI MAA MERI MUJHE KUCH NAHI HOGA
ME JAB GHAR SE NIKALTA HU DUA BHI SATH CHALTI HAI
KHAYAL E YAAR HAR EK GAM KO TAAL DETA HAI
SUKUN DIL KO TUMHARA JAMAL DETA HAI
YE MERI MAA KI DUAON KA FAIZ HAI MUJH PAR
ME DUBTA HU TO SAMANDAR UCHAAL DETA HAI
GARIB HU KISI ZAMINDAAR SE NAHI MILTA
ZAMIR BECH KAR KISI MAKKAR SE NAHI MILTA
JO HO SAKE TO ISKO SMBHAL KR RAKHNA
YE MAA KA PYAR HAI JO BAZAAR ME NAHI MILTA
KHUDA NE MAA KO AZMAT KAMAL KI DI
USKI DUA SE AI MUSIBAT TAAL DI
QURAAN ME MAA KE PYAR KI ESI MISAL DI
KE JANNAT UTHA KE MAA KE QADMO ME DAAL DI
Manzil ke age badh kar manzil talash kar
Mil jae tujh dariya to samandar talash kar
Nidamat ke charagon se badal jati hai taqdire
andheri rat ke ansu khuda se bat karte hai
dil se nikalti hai jo baat asar rakhti hai
par nahi takat e parvaaz magar rakhti hai
Khudi par gaor krne ka bhana bhi wahi dega
Khuda ne chonch bakhshi hai to Dana bhi wahi dega
0 Comments
Text us, we will reply soon.
Team Alpha