Bata kya poochta hai mulk mein kis ka guzaara hai
Bata kya poochta hai mulk mein kis ka guzaara hai
Meri nazron me dekho mulk ka dilkash nazaara hai
Bata kya poochta hai mulk mein kiska guzaara hai
Meri nazro me dekho mulk ka dilkash nazaara hai
Mere haathon ki rekhaa'on main nakhsh'e hind saara hai
Mere haathon ki rekhaa'on main nakhsh'e hind saara hai
Lahu ke aakhri khatre ne hindustan pukaara hai
Mera dil hai meri jaan hai meri aankhon ka tara hai
Ye hindustan hindustan hindustan hamara hai
Hamare mulk me hindu musalman saath rehte hain
Yahaan isaa’i ke kaandhon pe sikh ke haath rehte hai
Hamare sarhadon pe nao'javaan din raat rehte hai
Vahan uski hifazat ke liye taiyyaar rehte hain
Mitaa dete hain khud ko hind humko jaan se pyara hai
Ye hindustan hindustan hindustan hamara hai
Tirange ki bulandi ko jhuka sakta nahi koi
Amaan'allah hame dushman mita sakta nahi koi
Jahaan pe paa’on rakhde hum hita sakta nahi koi
Hamare aage sar apna utha sakta nahi koi
Hazaron dushmano ka dushmani ne sar utara hai
Ye hindustan hindustan hindustan hamara hai
Mera waada hai ke is mulk se ulfat rakhunga mein
Khudi mein zinda apne veer ki izzat rakhoonga main
Mita doon tooliyaan dushman ki woh taakhat rakhunga mein
Mai chota hoon jawaano se badi himmat rakhunga mein
Abhi se naasih ke saare bachchoon ka ye naara hai
ye hindustan hindustan hindustan hamara hai
ye hindustan hindustan hindustan hamara hai
0 Comments
Text us, we will reply soon.
Team Alpha