Dil ki duniya ko ko sajao
Dil Ki Duniya Ko Sajaao Aaqa
Apni Ulfat Me Jilaao Aaqa
Shoqe Deedar mein soun jis shab
Apna Deedar karao Aaqa
Mere Dil ki hai Tamanna har dam
Apna Ghar isko banao Aaqa
Hubbe Duniya se bachana Mujko
Mujko Apna hi banao Aaqa
Fikre Duniya mein na aansu niklen
Apni Ulfat mein rulao Aaqa
Jitne Momin hein pareshan hein Data
Sabki bigdi ko banao Aaqa
Shakire Razvi hai aasi Shaha
Muzda bakhshish ka sunao Aaqa
0 Comments
Text us, we will reply soon.
Team Alpha